Kash Main Bhi Kabhi Yaron Ka Kaha Man Sakun

kash main bhi kabhi yaron ka kaha man sakun

aankh ke jism pe KHwabon ki rida tan sakun

main samundar hun na tu mera shanawar pyare

tu bayaban hai na main KHak teri chhan sakun

ru-e-dilbar bhi wahi chehra-e-qatil bhi wahi

tu kabhi aankh milae to main pahchan sakun

waqt ye aur hai mujh mein ye kahan tab ki main

yariyan jhel sakun dushmaniyan Than sakun

jab sitam hai ye taaruf hi to kaisa ho agar

main use jaanne walon ki tarah jaan sakun

(706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kash Main Bhi Kabhi Yaron Ka Kaha Man Sakun In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Kash Main Bhi Kabhi Yaron Ka Kaha Man Sakun is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Kash Main Bhi Kabhi Yaron Ka Kaha Man Sakun for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Kash Main Bhi Kabhi Yaron Ka Kaha Man Sakun in PDF.