KHatm Ho Jang KHarabe Pe Hukumat Ki Jae

KHatm ho jang KHarabe pe hukumat ki jae

aaKHiri maraka-e-sabr hai ujlat ki jae

hum na zanjir ke qabil hain na jagir ke ahl

hum se inkar kiya jae na baiat ki jae

mamlikat aur koi baad mein arzani ho

pahle meri hi zamin mujh ko inayat ki jae

ya kiya jae mujhe KHush-nazari se aazad

ya isi dasht mein paida koi surat ki jae

hum abas dekhte hain ghurfa-e-KHali ki taraf

ye bhi kya koi tamasha hai ki hairat ki jae

ghar bhi rahiye to chale aate hain milne ko ghazal

kahe ko baadiya-paimai ki zahmat ki jae

apni tahrir to jo kuchh hai so aaina hai

ramz-e-tahrir magar kaise hikayat ki jae

(641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHatm Ho Jang KHarabe Pe Hukumat Ki Jae In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. KHatm Ho Jang KHarabe Pe Hukumat Ki Jae is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem KHatm Ho Jang KHarabe Pe Hukumat Ki Jae for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download KHatm Ho Jang KHarabe Pe Hukumat Ki Jae in PDF.