Mujhe Bacha Bhi Liya ChhoD Kar Chala Bhi Gaya

mujhe bacha bhi liya chhoD kar chala bhi gaya

wo mehrban pas-e-gard-e-safar chala bhi gaya

wagarna tang na thi ishq par KHuda ki zamin

kaha tha us ne to main apne ghar chala bhi gaya

koi yaqin na kare main agar kisi ko bataun

wo ungliyan thin ki zaKHm-e-jigar chala bhi gaya

mere badan se phir aai gae dinon ki mahak

agarche mausam-e-barg-o-samar chala bhi gaya

hawa ki tarah na dekhi meri KHizan ki bahaar

khila ke phul mera KHush-nazar chala bhi gaya

ajib raushaniyan thin visal ke us par

main us ke sath raha aur udhar chala bhi gaya

kal us ne sair karai nae jahanon ki

to ranj-e-narasi-e-baal-o-par chala bhi gaya

(663) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Bacha Bhi Liya ChhoD Kar Chala Bhi Gaya In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Mujhe Bacha Bhi Liya ChhoD Kar Chala Bhi Gaya is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Mujhe Bacha Bhi Liya ChhoD Kar Chala Bhi Gaya for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Mujhe Bacha Bhi Liya ChhoD Kar Chala Bhi Gaya in PDF.