Murawwaton Pe Wafa Ka Guman Bhi Rakhta Tha

murawwaton pe wafa ka guman bhi rakhta tha

wo aadmi tha ghalat-fahmiyan bhi rakhta tha

bahut dinon mein ye baadal idhar se guzra hai

mera makan kabhi saeban bhi rakhta tha

ajib shaKHs tha bachta bhi tha hawadis se

phir apne jism pe ilzam-e-jaan bhi rakhta tha

Dubo diya hai to ab is ka kya gila kije

yahi bahao safine rawan bhi rakhta tha

tu ye na dekh ki sab Tahniyan salamat hain

ki ye daraKHt tha aur pattiyan bhi rakhta tha

har ek zarra tha gardish mein aasman ki tarah

main apna panw zamin par jahan bhi rakhta tha

lipaT bhi jata tha aksar wo mere sine se

aur ek fasla sa darmiyan bhi rakhta tha

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Murawwaton Pe Wafa Ka Guman Bhi Rakhta Tha In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Murawwaton Pe Wafa Ka Guman Bhi Rakhta Tha is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Murawwaton Pe Wafa Ka Guman Bhi Rakhta Tha for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Murawwaton Pe Wafa Ka Guman Bhi Rakhta Tha in PDF.