Ruh Ke Mojazon Ka Zamana Nahin Jism Hi Kuchh Karamat Karte Rahen

ruh ke mojazon ka zamana nahin jism hi kuchh karamat karte rahen

apne hone ka elan karte rahen apne hone ka isbaat karte rahen

barf-e-rut aa gai phir nai bastiyon se nai hijraton ne pukara hamein

lekin is bar pardes jate hue raston par nishanat karte rahen

phir koi tishna-lab tir is dasht mein hum tak aaya hai tai kar ke kitna safar

ai rag-e-jaan ki ju-e-rawan hum bhi kuchh mehman ki mudaraat karte rahen

ek hi peD par sanp aur aadmi sath rahte hain sailab utarne talak

ham-safar hai agar dushman-e-jaan to kya rah sunsan hai baat karte rahen

jaan lene ka waisa saliqa abhi lashkar-e-dushmanan mein kisi ko nahin

aao ab apne KHemon mein wapas chalen doston se mulaqat karte rahen

(652) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ruh Ke Mojazon Ka Zamana Nahin Jism Hi Kuchh Karamat Karte Rahen In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Ruh Ke Mojazon Ka Zamana Nahin Jism Hi Kuchh Karamat Karte Rahen is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Ruh Ke Mojazon Ka Zamana Nahin Jism Hi Kuchh Karamat Karte Rahen for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Ruh Ke Mojazon Ka Zamana Nahin Jism Hi Kuchh Karamat Karte Rahen in PDF.