Raat Ek Shahr Ne Taza Kiye Manzar Apne

raat ek shahr ne taza kiye manzar apne

nind aaankhon se uDi khol ke shahpar apne

tum sar-e-dasht-o-chaman mujh ko kahan DhunDte ho

main to har rut mein badal deta hun paikar apne

yahi virana bacha tha to KHuda ne aaKHir

rakh diye dil mein mere sat samundar apne

roz wo shaKHs sada de ke palaT jata hai

main bhi rahta hun bahut jism se bahar apne

kis qadar pas-e-murawwat hai wafadaron ko

mere sine mein chhupa rakkhe hain KHanjar apne

koi sultan nahin mere siwa mera sharik

masnad-e-KHak pe baiTha hun barabar apne

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ek Shahr Ne Taza Kiye Manzar Apne In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Raat Ek Shahr Ne Taza Kiye Manzar Apne is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Raat Ek Shahr Ne Taza Kiye Manzar Apne for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Raat Ek Shahr Ne Taza Kiye Manzar Apne in PDF.