Qadam UThe To Gali Se Gali Nikalti Rahi

qadam uThe to gali se gali nikalti rahi

nazar diye ki tarah chaukhaTon pe jalti rahi

kuchh aisi tez na thi us ke intizar ki aanch

ye zindagi hi meri barf thi pighalti rahi

saron ke phul sar-e-nok-e-neza hanste rahe

ye fasl sukhi hui Tahniyon pe phalti rahi

hatheliyon ne bachaya bahut charaghon ko

magar hawa hi ajab zawiye badalti rahi

dayar-e-dil mein kabhi subh ka gajar na baja

bas ek dard ki shab sari umr Dhalti rahi

main apne waqt se aage nikal gaya hota

magar zamin bhi mere sath sath chalti rahi

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qadam UThe To Gali Se Gali Nikalti Rahi In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Qadam UThe To Gali Se Gali Nikalti Rahi is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Qadam UThe To Gali Se Gali Nikalti Rahi for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Qadam UThe To Gali Se Gali Nikalti Rahi in PDF.