Ye Shahr-e-zat Bahut Hai Agar Banaya Jae

ye shahr-e-zat bahut hai agar banaya jae

to kaenat ko kyun dard-e-sar banaya jae

zara si der ko ruk kar kisi jazire par

samundaron ka safar muKHtasar banaya jae

ab ek KHema lage dushmanon ki basti mein

dua-e-shab ko nishan-e-sahar banaya jae

yahi kaTe hue bazu alam kiye jaen

yahi phaTa hua sina sipar banaya jae

suna ye hai ki wo dariya utar gaya aaKHir

to aao phir usi reti pe ghar banaya jae

ajab masaf sukut o suKHan mein jari hai

kise wasila-e-arz-e-hunar banaya jae

(658) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Shahr-e-zat Bahut Hai Agar Banaya Jae In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Ye Shahr-e-zat Bahut Hai Agar Banaya Jae is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Ye Shahr-e-zat Bahut Hai Agar Banaya Jae for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Ye Shahr-e-zat Bahut Hai Agar Banaya Jae in PDF.