Wo Un Dinon To Hamara Tha Lekin Ab Kya Hai

wo un dinon to hamara tha lekin ab kya hai

phir us se aaj wahi ranj-e-be-sabab kya hai

tum us ka war bachane ki fikr mein kyun ho

wo jaanta hai masihaiyon ka Dhab kya hai

dabiz kohar hai ya narm dhup ki chadar

KHabar nahin tere baad ai ghubar-e-shab kya hai

dikha raha hai kise waqt an-ginat manzar

agar main kuchh bhi nahin hun to phir ye sab kya hai

ab is qadar bhi sukun mat dikha bichhaDte hue

wo phir tujhe na kabhi mil sake ajab kya hai

main apne chehre se kis tarah ye naqab uThaun

samajh bhi ja ki pas-e-parda-e-tarab kya hai

yahan nahin hai ye dastur-e-guftugu 'irfan'

fughan sune na koi harf-e-zer-e-lab kya hai

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Un Dinon To Hamara Tha Lekin Ab Kya Hai In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Wo Un Dinon To Hamara Tha Lekin Ab Kya Hai is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Wo Un Dinon To Hamara Tha Lekin Ab Kya Hai for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Wo Un Dinon To Hamara Tha Lekin Ab Kya Hai in PDF.