Har-chand Ki Insaf Ka KHwahan Bhi Wahi Hai

har-chand ki insaf ka KHwahan bhi wahi hai

qatil bhi wahi aur nigahban bhi wahi hai

barbaadi-e-gulshan ka jo saman bana tha

barbaadi-e-gulshan pe pasheman bhi wahi hai

hai nisbat-e-naumidi-e-tariki-e-shab jo

ek muzhda-e-ummid-e-farozan bhi wahi hai

pani mein talatum bhi usi chand ke bais

aur apni ada dekh ke hairan bhi wahi hai

tathir-e-siyasat ka bhi dawa hai usi ko

tanqid-e-hukumat se gurezan bhi wahi hai

mushkil hai mafar wahshat-e-tanhai se 'irfan'

jo qarya hai aabaad bayaban bhi wahi hai

(644) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har-chand Ki Insaf Ka KHwahan Bhi Wahi Hai In English By Famous Poet Irfan Waheed. Har-chand Ki Insaf Ka KHwahan Bhi Wahi Hai is written by Irfan Waheed. Read famous Poem Har-chand Ki Insaf Ka KHwahan Bhi Wahi Hai for youth and Student by Irfan Waheed. Free Download Har-chand Ki Insaf Ka KHwahan Bhi Wahi Hai in PDF.