Hazar Ranj-e-safar Hai Hazar Ke Hote Hue

hazar ranj-e-safar hai hazar ke hote hue

ye kaisi KHana-badoshi hai ghar ke hote hue

wo habs-e-jaan hai barasne se bhi jo kam na hua

ghuTan ghazab ki hai ek chashm-e-tar ke hote hue

mere wajud ko paikar ki hai talash abhi

main KHak hun hunar-e-kuzah-gar ke hote hue

sahar ujalne wale kiran kiran ke liye

taras rahe hain farogh-e-sahar ke hote hue

har inkishaf hai ek inkishaf-e-la-ilmi

kamal-e-be-KHabari hai KHabar ke hote hue

gurezan mujh se raha hai ye saya-e-diwar

main dhup dhup jala hun shajar ke hote hue

hum us se mil ke karen arz-e-haal kuchh 'irfan'

muhaal hai ye dil-e-hila-gar ke hote hue

(624) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazar Ranj-e-safar Hai Hazar Ke Hote Hue In English By Famous Poet Irfan Waheed. Hazar Ranj-e-safar Hai Hazar Ke Hote Hue is written by Irfan Waheed. Read famous Poem Hazar Ranj-e-safar Hai Hazar Ke Hote Hue for youth and Student by Irfan Waheed. Free Download Hazar Ranj-e-safar Hai Hazar Ke Hote Hue in PDF.