Pas-e-sukut SuKHan Ko KHabar Banaya Jae

pas-e-sukut suKHan ko KHabar banaya jae

fasil-e-harf mein mani ka dar banaya jae

hisab-e-sud-o-ziyan ho chuka bahut ab ke

wufur-e-shauq ko arz-e-hunar banaya jae

lagan uDan ki dil mein hanuz baqi hai

kaTe paron hi ko ab shah-par banaya jae

kisi paDaw pe pahunchenge jab to sochenge

abhi se kya koi zad-e-safar banaya jae

faraaz-e-dar pe kar ke buland aaKHir-e-shab

mere hi sar ko nishan-e-sahar banaya jae

bahut tawil hua silsila raqabat ka

kabhi milo to use muKHtasar banaya jae

qadam qadam pe hai basti mein wahshiyon ka hujum

chalo kahin kisi sahra mein ghar banaya jae

zamir-e-nau-e-bashar kab se ho chuka ruKHsat

nae KHamir se taza bashar banaya jae

mafar muhaal hai qaid-e-makan se jab 'irfan'

to kyun na phir isi gumbad ko ghar banaya jae

(665) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pas-e-sukut SuKHan Ko KHabar Banaya Jae In English By Famous Poet Irfan Waheed. Pas-e-sukut SuKHan Ko KHabar Banaya Jae is written by Irfan Waheed. Read famous Poem Pas-e-sukut SuKHan Ko KHabar Banaya Jae for youth and Student by Irfan Waheed. Free Download Pas-e-sukut SuKHan Ko KHabar Banaya Jae in PDF.