Sar-e-aina Hairani Bahut Hai

sar-e-aina hairani bahut hai

sitamgar ko pashemani bahut hai

KHirad ki garche arzani bahut hai

junun ki jalwa-samani bahut hai

sabhi wahshi yahin par aa rahe hain

mere ghar mein bayabani bahut hai

yahan har-chand sab KHush-pairahan hain

magar dekho to uryani bahut hai

na jaane kab meri muTThi mein aae

wo ek lamha ki arzani bahut hai

ajab uljhan ki chup rahna bhi mushkil

jo kah dun to pashemani bahut hai

main samt-e-dasht jaana chahta tha

magar us mein tan-asani bahut hai

bhula kar baiThta hun har kisi ka

abhi mujh mein ye nadani bahut hai

KHudaya joD kya hai ishq-o-dil ka

teri baKHshish pe hairani bahut hai

zamin ko ras kab aaega 'irfan'

wo harf-e-haq ki nuqsani bahut hai

(571) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar-e-aina Hairani Bahut Hai In English By Famous Poet Irfan Waheed. Sar-e-aina Hairani Bahut Hai is written by Irfan Waheed. Read famous Poem Sar-e-aina Hairani Bahut Hai for youth and Student by Irfan Waheed. Free Download Sar-e-aina Hairani Bahut Hai in PDF.