Ye Dana-e-hawas Tumhein Haram Kyun Nahin Raha

ye dana-e-hawas tumhein haram kyun nahin raha

uDan ka wo shauq zer-e-dam kyun nahin raha

masafaton ka phir wo ehtimam kyun nahin raha

safar darun-e-zat be-qayam kyun nahin raha

bikhar gai hai shab to tirgi ka raj kyun nahin

jo baam par tha wo mah-e-tamam kyun nahin raha

hamare qatl par usul-e-qatl-gah ka kuchh lihaz

salib-o-dar ka bhi ehtimam kyun nahin raha

bhala ye kaise man len ki dil ko saf kar liya

jo sulh ho gai to phir kalam kyun nahin raha

jo shoabde the tere pir-e-waqt un ka kya hua

ata-e-husn-o-ishq par dawam kyun nahin raha

jo pairaw-e-hawa-e-nafs-o-banda-e-hawas hua

use ye gham wo waqt ka imam kyun nahin raha

dilon ko jitne ki jo karamaten thin kya huin

nazar nazar jo faiz tha wo aam kyun nahin raha

(564) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Dana-e-hawas Tumhein Haram Kyun Nahin Raha In English By Famous Poet Irfan Waheed. Ye Dana-e-hawas Tumhein Haram Kyun Nahin Raha is written by Irfan Waheed. Read famous Poem Ye Dana-e-hawas Tumhein Haram Kyun Nahin Raha for youth and Student by Irfan Waheed. Free Download Ye Dana-e-hawas Tumhein Haram Kyun Nahin Raha in PDF.