Charagh-e-fikr Jalaya Hai Raat Bhar Humne

charagh-e-fikr jalaya hai raat bhar hum ne

aur us ke baad nikhaara ruKH-e-sahar hum ne

hamein shuur ne dhoke diye hain rah rah kar

fareb khae hain danista beshtar hum ne

sila KHirad ka zamane mein jam-e-zahr sahi

nikhaar di hai magar azmat-e-bashar hum ne

nazar ho daulat-e-har-do-jahan pe kya mail

sameT li hai bahut daulat-e-nazar hum ne

sada-e-pa ki suni baz-gasht hi har gam

talash ki hai jahan teri rahguzar hum ne

nigar-e-gul ne liya nam zer-e-lab tera

udas chand ko dekha pas-e-shajar hum ne

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh-e-fikr Jalaya Hai Raat Bhar Humne In English By Famous Poet Irfana Azeez. Charagh-e-fikr Jalaya Hai Raat Bhar Humne is written by Irfana Azeez. Read famous Poem Charagh-e-fikr Jalaya Hai Raat Bhar Humne for youth and Student by Irfana Azeez. Free Download Charagh-e-fikr Jalaya Hai Raat Bhar Humne in PDF.