Dil Par Gahra Naqsh Hai Sathi Lakh Teri Danai Ka

dil par gahra naqsh hai sathi lakh teri danai ka

sat samundar bhi to na paen raaz meri gahrai ka

chashma-e-KHun mein Dub gai baraat suhane taron ki

bojhal palkon par gahna ya chand meri tanhai ka

jhum rahe hain kale baadal daras ki pyasi aankhon mein

kajal ban kar phail gaya hai dagh meri ruswai ka

kitna hai aanand tere is dhime dhime lahje mein

tere dhiraj se nikhra hai rang meri ranai ka

mere dil se puchhe koi qadr ubharte suraj ki

meri aankh se dekhe koi rup mere saudai ka

sandal jaisi rangat par qurban sunahri dhup karun

raushan mathe par main warun sara husn KHudai ka

mera bikhra bikhra tan-man simaT gaya kisi chahat se

jaan gai hun bhed main teri bahon ki girai ka

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Par Gahra Naqsh Hai Sathi Lakh Teri Danai Ka In English By Famous Poet Irfana Azeez. Dil Par Gahra Naqsh Hai Sathi Lakh Teri Danai Ka is written by Irfana Azeez. Read famous Poem Dil Par Gahra Naqsh Hai Sathi Lakh Teri Danai Ka for youth and Student by Irfana Azeez. Free Download Dil Par Gahra Naqsh Hai Sathi Lakh Teri Danai Ka in PDF.