Charagh

na dosti na dushmani

mera kaam to hai raushni

main raste ka charagh hun

kaho sar-phiri hawaon se

na chalen Thumak-adaon se

kabhi phir karunga mohabbaten

abhi samne hain zulmaten

ye andhera pahle noch lun

koi chaal agli soch lun

main gum hun apne KHayal mein

ye jaan lo ki is lamhe

main dil nahin dimagh hun

main raste ka charagh hun

mera kaam to hai raushni

na dosti na dushmani

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh In English By Famous Poet Irshad Kamil. Charagh is written by Irshad Kamil. Read famous Poem Charagh for youth and Student by Irshad Kamil. Free Download Charagh in PDF.