Ek Mahina Nazmon Ka

alfazon ka ek KHazana mere pas

aur KHwabon ki ek piTari tere pas

main tere KHwabon ka koi nam dharun

tum mere lafzon mein

KHwab piro dena

taki hum is len-den mein

bhul saken

tanhai mein chupke chupke ro dena

main ne tere ek KHwab ko bachpan likha

jis mein tum ne KHud ko

baDhiya paya tha

aur koi tum se bhi ek do

sal baDa

chand batashe teri KHatir laya tha

main ne ek KHwab ko likha jawani

jis mein tum ek tin sal ki bachchi thi

jism zehn se kachchi thi

sachchi thi

TheTh jhuT ki jeTh jhuT ki

sikhar do-pahri

jism zehn ko duniya puKHta karti hai

pata hai mujh ko nind mein teri

ab tak milon

nannhi bachchi Thumak Thumak kar chalti hai

phir aata hai ek mahina nazmon ka

nak kan ko bedhne wali

rasmon ka

aur buDhapa yahan se shurua

nahin hota

(2238) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Mahina Nazmon Ka In English By Famous Poet Irshad Kamil. Ek Mahina Nazmon Ka is written by Irshad Kamil. Read famous Poem Ek Mahina Nazmon Ka for youth and Student by Irshad Kamil. Free Download Ek Mahina Nazmon Ka in PDF.