Is Par Ka Ho Ke Bhi Mein Us Par Gaya Hun

is par ka ho ke bhi mein us par gaya hun

ek ism ki barakat se kai bar gaya hun

KHairaat mein de aaya hun jiti hui bazi

duniya ye samajhti hai ki main haar gaya hun

thame hue ek raushni ke hath ko har shab

pani pe qadam rakh ke main us par gaya hun

darwaze ko auqat mein lane ke liye main

diwar ke andar se kai bar gaya hun

kya mere liye ek bhi kirdar nahin tha

kyun apni kahani se main be-kar gaya hun

mushkil hai tujhe aag ke dariya se bacha lun

ai shahr-e-peshawar main tujhe haar gaya hun

KHwabon ne jo ek khel banaya tha mere dost

is khel mein tabir se main haar gaya hun

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Par Ka Ho Ke Bhi Mein Us Par Gaya Hun In English By Famous Poet Ishaq Veerdag. Is Par Ka Ho Ke Bhi Mein Us Par Gaya Hun is written by Ishaq Veerdag. Read famous Poem Is Par Ka Ho Ke Bhi Mein Us Par Gaya Hun for youth and Student by Ishaq Veerdag. Free Download Is Par Ka Ho Ke Bhi Mein Us Par Gaya Hun in PDF.