Hum KHak-ba-sar Gard-e-safar DhunD Rahe Hain

hum KHak-ba-sar gard-e-safar DhunD rahe hain

aur log samajhte hain ki ghar DhunD rahe hain

diwanon ke manind mare shahr ke sab log

dastar ke qabil koi sar DhunD rahe hain

ab sham hai to shahr mein ganw ke parinde

rahne ke liye koi shajar DhunD rahe hain

jo dil ke nihan-KHanon mein rahta hai hamesha

ye log use aaj kidhar DhunD rahe hain

galiyon mein jo phirte hain ye manus se chehre

Dhalti hui tahzib ke ghar DhunD rahe hain

afsurda se chehron pe baDi der se hum log

ek khoya hua dast-e-hunar DhunD rahe hain

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum KHak-ba-sar Gard-e-safar DhunD Rahe Hain In English By Famous Poet Ishaq Veerdag. Hum KHak-ba-sar Gard-e-safar DhunD Rahe Hain is written by Ishaq Veerdag. Read famous Poem Hum KHak-ba-sar Gard-e-safar DhunD Rahe Hain for youth and Student by Ishaq Veerdag. Free Download Hum KHak-ba-sar Gard-e-safar DhunD Rahe Hain in PDF.