Hone Ka Etibar Nahin Kar Rahe Hain Log

hone ka e'tibar nahin kar rahe hain log

ab KHud ko iKHtiyar nahin kar rahe hain log

ab ishq aur dasht KHasare mein hain miyan

ab dil ka karobar nahin kar rahe hain log

tayyar hai tamasha dikhane ko ek shaKHs

mahaul sazgar nahin kar rahe hain log

ab hai nizam-e-ishq mein tarmim ka chalan

taron ka bhi shumar nahin kar rahe hain log

hairan hun ki itni riyazat ke bawajud

kyun waqt ko ghubar nahin kar rahe hain log

KHush hun ki aasman se hai qaem zamin ka rabt

dukh hai ki paedar nahin kar rahe hain log

shayad ki meri maut ka elan ho chuka

ab mujh pe koi war nahin kar rahe hain log

aage ki dauD mein hue mahdud is tarah

mazi pe eqtidar nahin kar rahe hain log

ai yar apne husn pe kuchh KHak Dal de

ab ishq iKHtiyar nahin kar rahe hain log

ab nisf shab nikalte hain be-KHauf kaam par

suraj ka intizar nahin kar rahe hain log

(1023) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hone Ka Etibar Nahin Kar Rahe Hain Log In English By Famous Poet Ishaq Veerdag. Hone Ka Etibar Nahin Kar Rahe Hain Log is written by Ishaq Veerdag. Read famous Poem Hone Ka Etibar Nahin Kar Rahe Hain Log for youth and Student by Ishaq Veerdag. Free Download Hone Ka Etibar Nahin Kar Rahe Hain Log in PDF.