Main Khaali Ghar Mein Bhi Tanha Nahin Tha

main KHali ghar mein bhi tanha nahin tha

ki jab tak aaina TuTa nahin tha

sar-e-aina wo chehra nahin tha

magar ye baat main samjha nahin tha

jahan sairab hoti thi meri ruh

wo sahra tha koi dariya nahin tha

mujhe us moD pe mara gaya hai

kahani mein jahan marna nahin tha

meri aankhon ne wo aansu bhi dekha

meri qismat mein jo likkha nahin tha

hui thi zindagi jab shahr mein gum

kisi ko koi ranj is ka nahin tha

(765) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Khaali Ghar Mein Bhi Tanha Nahin Tha In English By Famous Poet Ishaq Veerdag. Main Khaali Ghar Mein Bhi Tanha Nahin Tha is written by Ishaq Veerdag. Read famous Poem Main Khaali Ghar Mein Bhi Tanha Nahin Tha for youth and Student by Ishaq Veerdag. Free Download Main Khaali Ghar Mein Bhi Tanha Nahin Tha in PDF.