KHwab Ne Rakh Liya Fasane Mein

KHwab ne rakh liya fasane mein

tum ne taKHir ki jagane mein

is zamin ko falak banane mein

main bhi shamil tha ek zamane mein

tere kirdar ko uThane mein

mujh ko marna paDa fasane mein

kaam karte hain roz-o-shab sahab

hum mohabbat ke kar-KHane mein

baam-o-dar dushmanon ke sathi the

mujh ko diwar se lagane mein

ishq mein thoDi si suhulat thi

hazrat-e-qais ke zamane mein

din-o-duniya se jaana paDta hai

dil ko diwangi banane mein

waqt hi har taraf rukawaT hai

la-makan se makan banane mein

aag ke darmiyan baiThe hain

qissa-KHwani ke chae-KHane mein

maktab-e-ishq mein sabaq paDhne

log aaenge har zamane mein

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Ne Rakh Liya Fasane Mein In English By Famous Poet Ishaq Veerdag. KHwab Ne Rakh Liya Fasane Mein is written by Ishaq Veerdag. Read famous Poem KHwab Ne Rakh Liya Fasane Mein for youth and Student by Ishaq Veerdag. Free Download KHwab Ne Rakh Liya Fasane Mein in PDF.