Main Zamin Thahra To Usko Aasman Hona Hi Tha

main zamin Thahra to us ko aasman hona hi tha

aasman ho kar use na-mehrban hona hi tha

pyas ki tahrir se to ye ayan hona hi tha

be-nishan baatil to haq ko jawedan hona hi tha

ruh ki tajsim se mumkin hui hai zindagi

la-makan ke waste bhi ek makan hona hi tha

wo gunah ki sarzamin par jannaton ka KHwab tha

is tarah ke KHwab ko to raegan hona hi tha

kab thi firdaus-e-barin mein lazzat-e-lutf-e-gunah

is zamin ki justuju mein kuchh ziyan hona hi tha

be nishan raston pe ab tak gamzan hai ye zamin

is liye bhi aasman ko be-karan hona hi tha

mein chala tha raat ko bhi din banane ke liye

sar pe mere dhup ko phir saeban hona hi tha

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Zamin Thahra To Usko Aasman Hona Hi Tha In English By Famous Poet Ishaq Veerdag. Main Zamin Thahra To Usko Aasman Hona Hi Tha is written by Ishaq Veerdag. Read famous Poem Main Zamin Thahra To Usko Aasman Hona Hi Tha for youth and Student by Ishaq Veerdag. Free Download Main Zamin Thahra To Usko Aasman Hona Hi Tha in PDF.