Gham Mera Dushman-e-jaani Hai Kaho Ya Na Kaho

gham mera dushman-e-jaani hai kaho ya na kaho

mere aansu ki zabani hai kaho ya na kaho

raat parwane ke matam mein gudaz-e-dil se

shama ki ashk-fishani hai kaho ya na kaho

ghuncha-e-gul ke tain dekhte hi hum ne kaha

dil-e-pur-KHun ki nishani hai kaho ya na kaho

matha ghisne se mere mahr-jabin ke dar par

subh ki ujli peshani hai kaho ya na kaho

mayyat-e-ishq ka gar dekho ruKH-e-nurani

maghfirat ki ye nishani hai kaho ya na kaho

(655) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Mera Dushman-e-jaani Hai Kaho Ya Na Kaho In English By Famous Poet Ishq Aurangabadi. Gham Mera Dushman-e-jaani Hai Kaho Ya Na Kaho is written by Ishq Aurangabadi. Read famous Poem Gham Mera Dushman-e-jaani Hai Kaho Ya Na Kaho for youth and Student by Ishq Aurangabadi. Free Download Gham Mera Dushman-e-jaani Hai Kaho Ya Na Kaho in PDF.