Na Aaina Hi Us Surat Ke Aage Hakka-bakka Hai

na aaina hi us surat ke aage hakka-bakka hai

siyahi dekh us ke KHat ke mad ki dil mein lukka hai

hua insan numayan nur-e-zat-e-pak-wahdat se

ki jyun KHurshid ke partaw se zarre mein jhamakka hai

hua aKHbar se sabit sawab-e-hajj-e-akbar hai

ziyarat kar le ai ghafil dil-e-agah makka hai

bacha nin koi us zalim ke jaur-e-chashm-o-mizhgan se

wahan aaina bhi shan-e-asal ka sa shabakka hai

jhuka kar ek main sar nam apna kar diya raushan

funun-e-ishq mein kam koi parwana sa pakka hai

mawali-e-ali ka hai ba-KHair anjam bujh ai 'ishq'

KHuda hafiz tera dozaKH bhi ek sharai-e-dikka hai

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Aaina Hi Us Surat Ke Aage Hakka-bakka Hai In English By Famous Poet Ishq Aurangabadi. Na Aaina Hi Us Surat Ke Aage Hakka-bakka Hai is written by Ishq Aurangabadi. Read famous Poem Na Aaina Hi Us Surat Ke Aage Hakka-bakka Hai for youth and Student by Ishq Aurangabadi. Free Download Na Aaina Hi Us Surat Ke Aage Hakka-bakka Hai in PDF.