Rakhta Hun Talai Rang Aur Ashk Bhi Moti Hai

rakhta hun talai rang aur ashk bhi moti hai

munim ke bhi ghar aaKHir daulat yahi hoti hai

sumbul ki pareshani kab kam thi ki phir tis par

shabnam jo sarishk us ke mizhgan mein piroti hai

aali se main ja puchha kya waqia yan guzra

gul chaak-gareban hai shabnam hai ki roti hai

dam sard hi wo bhar kar ye mujh se laga kahne

har subh gulistan ki haalat yahi hoti hai

'ishq' apni fana ka KHauf sarkash ke nahin dil mein

kab shama ye hai raushan jo subh bhi hoti hai

(665) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rakhta Hun Talai Rang Aur Ashk Bhi Moti Hai In English By Famous Poet Ishq Aurangabadi. Rakhta Hun Talai Rang Aur Ashk Bhi Moti Hai is written by Ishq Aurangabadi. Read famous Poem Rakhta Hun Talai Rang Aur Ashk Bhi Moti Hai for youth and Student by Ishq Aurangabadi. Free Download Rakhta Hun Talai Rang Aur Ashk Bhi Moti Hai in PDF.