Rishta-e-dam Se Jaan Hai Tan Mein

rishta-e-dam se jaan hai tan mein

manke manke se tere simran mein

dida-e-dil se dekhta hun tujhe

sochta hun jab apne main man mein

gul hai shabnam se aah dida-e-tar

bin wo gul-ru ke subh-e-gulshan mein

karbala ke bagule sare kash

KHak uData hua phirun ban mein

gauhar-e-ab-dar ke manind

ashk ghaltan hain mere daman mein

sarw-e-gulzar sa suhata hai

wo mera yar ghar ke aangan mein

apni surat ko ai shahansha-e-husn

'ishq' ke dekh dil ke darpan mein

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rishta-e-dam Se Jaan Hai Tan Mein In English By Famous Poet Ishq Aurangabadi. Rishta-e-dam Se Jaan Hai Tan Mein is written by Ishq Aurangabadi. Read famous Poem Rishta-e-dam Se Jaan Hai Tan Mein for youth and Student by Ishq Aurangabadi. Free Download Rishta-e-dam Se Jaan Hai Tan Mein in PDF.