Safhe Pe Kab Chaman Ke Hawa Se Ghubar Hai

safhe pe kab chaman ke hawa se ghubar hai

ye apne sar pe KHak uDati bahaar hai

shabnam ka kuchh nahin gul-e-nargis o pur-asar

ye dekh lo bahaar ki chashm ashk-bar hai

ye shaKH-e-gul pe ghuncha-e-gul se bahaar ka

yaro dil-e-girafta dekho aashkar hai

hota hai gul ki tarz se izhaar is tarah

ye para para daman-o-jeb-e-bahaar hai

gulshan ke bich ye gul-e-sad-barg nin hai zard

ai aashiqo bahaar ka rang-e-azar hai

gulshan ke bich kahte hain ye jis ko lala-zar

so nau-bahaar ka jigar dagh-dar hai

patthar se mar mar ke sar roti hai bahaar

jis ko chaman mein kahte hain ye aabshaar hai

ye haal-e-KHasta dekh chaman mein bahaar ka

hasrat se mere dil ke upar KHar KHar hai

gulshan ki tarah se mujh rangin-dilon ke bich

hai KHushnuma wo jeb ki jo tar tar hai

sad-chaak gul ka sun ke hua jaib-e-pairahan

yan tak to pur asar se fughan-e-hazar hai

ek bulbul-e-asir se puchha mein kis liye

aane ka fasl-e-gul ke tujhe intizar hai

kahne lagi wo uqda-e-KHatir ko khol kar

gul gul shagufta hun main sunun jo bahaar hai

aankhon se dil ke did ko mane nahin nafas

aashiq ko ain-hijr mein bhi wasl-e-yar hai

us shama-ru pe dil se tasadduq hai balki 'ishq'

parwana-war jaan se har-dam nisar hai

(736) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safhe Pe Kab Chaman Ke Hawa Se Ghubar Hai In English By Famous Poet Ishq Aurangabadi. Safhe Pe Kab Chaman Ke Hawa Se Ghubar Hai is written by Ishq Aurangabadi. Read famous Poem Safhe Pe Kab Chaman Ke Hawa Se Ghubar Hai for youth and Student by Ishq Aurangabadi. Free Download Safhe Pe Kab Chaman Ke Hawa Se Ghubar Hai in PDF.