Jinhen Ki Umar Bhar Suhag Ki Duaen Di Gain

jinhen ki umar bhar suhag ki duaen di gain

suna hai apni chuDiyan hi pis kar wo pi gain

bahut hai ye riwayaton ka zahr sari umar ko

jo talKHiyan hamare aanchalon mein bandh di gain

kabhi na aisi fasl mere ganw mein hui ki jab

kusum ke badle chunariyan gulab se rangi gain

wo jin ke pairahan ki KHushbuen hawa pe qarz thin

ruton ki wo udas shahzadiyan chali gain

in ungliyon ko chumna bhi bidaten shumar ho

wo jin se KHak par numu ki aayaten likhi gain

saron ka ye lagan ab ke fasl kaun le gaya

ye kis ki khetiyan thin aur kis ko saunp di gain

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jinhen Ki Umar Bhar Suhag Ki Duaen Di Gain In English By Famous Poet Ishrat Afreen. Jinhen Ki Umar Bhar Suhag Ki Duaen Di Gain is written by Ishrat Afreen. Read famous Poem Jinhen Ki Umar Bhar Suhag Ki Duaen Di Gain for youth and Student by Ishrat Afreen. Free Download Jinhen Ki Umar Bhar Suhag Ki Duaen Di Gain in PDF.