Jo Mabad Mein Diya Jalane Aati Thi

jo mabad mein diya jalane aati thi

wo laDki kyun andhiyaron ki nazr hui

wo jis ne ashkon se haar nahin mani

kis KHamoshi se dariya mein Dub gai

ret pe mere aur tumhaare qadmon ki

ek tahrir thi so wo dariya-burd hui

lafzon ke shahzade ka rasta dekhe

jangal mein rahne wali bholi laDki

teri muKHbir teri hi hamraaz kaniz

meri dushman meri ek saheli thi

bhuk hi pale apni kokh mein meri man

banjh duaen mehnat wale hathon ki

wo ghar jis ke taq mein diya na tha lekin

sehn mein ek kunDari rakkhi rahti thi

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Mabad Mein Diya Jalane Aati Thi In English By Famous Poet Ishrat Afreen. Jo Mabad Mein Diya Jalane Aati Thi is written by Ishrat Afreen. Read famous Poem Jo Mabad Mein Diya Jalane Aati Thi for youth and Student by Ishrat Afreen. Free Download Jo Mabad Mein Diya Jalane Aati Thi in PDF.