Chand Par Hai Mujhe Tera Hi Guman Aaj Ki Raat

chand par hai mujhe tera hi guman aaj ki raat

sujhta hi nahin kuchh sud-o-ziyan aaj ki raat

dard-e-insan mein insan miTa jata hai

ek nae ahd ka milta hai nishan aaj ki raat

jama-e-hasti-e-insan hai ba-rang-e-matam

uTh raha hai sham-e-sozan se dhuan aaj ki raat

ek nae moD pe hai dard-e-mohabbat apna

daru-e-dard hai KHud dard-e-jahan aaj ki raat

ai sitaron ke KHudawand ye kya aalam hai

chandni mein bhi hai tarik jahan aaj ki raat

kya hai mearaj yahi dard ki lazzat apni

kya isi mein hain rumuz-e-do-jahan aaj ki raat

dur se aati hain kanon mein dilon ki aahen

kya inhin mein hai KHuda-wand-e-jahan aaj ki raat

jo bhi mazlum hai dil us ke liye rota hai

meri har sans mein hai shor-e-fughan aaj ki raat

(620) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Par Hai Mujhe Tera Hi Guman Aaj Ki Raat In English By Famous Poet Ishrat Anwar. Chand Par Hai Mujhe Tera Hi Guman Aaj Ki Raat is written by Ishrat Anwar. Read famous Poem Chand Par Hai Mujhe Tera Hi Guman Aaj Ki Raat for youth and Student by Ishrat Anwar. Free Download Chand Par Hai Mujhe Tera Hi Guman Aaj Ki Raat in PDF.