Awwalin Shart Hai Insan Ka Insan Hona

awwalin shart hai insan ka insan hona

baad ki baat hai hindu ya musalman hona

jo bhi aata hai wo kaliyon ko masal jata hai

ek hasin khel hai gulshan ka nigahban hona

ahl-e-danish ne kabhi KHwab mein socha bhi na tha

jurm ban jaega is daur mein insan hona

adl hai maslahat-e-waqt ke panje se asir

saKHt mushkil hai yahan sahab-e-iman hona

jashn-e-be-chaargi jis waqt manate hon awam

na-munasib sa hai us waqt ghazal-KHwan hona

ban gaya jehl ke baDhne ka sabab ai 'ishrat'

yak-ba-yak ilm ki shama ka farozan hona

(620) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Awwalin Shart Hai Insan Ka Insan Hona In English By Famous Poet Ishrat Kiratpuri. Awwalin Shart Hai Insan Ka Insan Hona is written by Ishrat Kiratpuri. Read famous Poem Awwalin Shart Hai Insan Ka Insan Hona for youth and Student by Ishrat Kiratpuri. Free Download Awwalin Shart Hai Insan Ka Insan Hona in PDF.