Barson Tapish-e-gham Mein Ye Ehsas Jale Hai

barson tapish-e-gham mein ye ehsas jale hai

tab ja ke kahin sher ke sanche mein Dhale hai

kuchh aise teri bazm mein baiTha hun akela

jis tarah sar-e-rah koi shama jale hai

allah kisi shaKHs ko ruswa na kare yun

mujh se mera saya bhi to ab bach ke chale hai

is manzil-e-dushwar se hans hans ke guzar ja

pagle kahin rone se shab-e-hijr Dhale hai

har rose naya rup badalti hai teri yaad

aahon mein Dhale hai kabhi ashkon mein Dhale hai

har shahr mein hone lagi angusht-numai

ruswai meri mujh se bhi kuchh aage chale hai

ek rose use TuT hi jaana tha bahar-haal

dil toD ke tu kyun kaf-e-afsos male hai

(523) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barson Tapish-e-gham Mein Ye Ehsas Jale Hai In English By Famous Poet Ishrat Kiratpuri. Barson Tapish-e-gham Mein Ye Ehsas Jale Hai is written by Ishrat Kiratpuri. Read famous Poem Barson Tapish-e-gham Mein Ye Ehsas Jale Hai for youth and Student by Ishrat Kiratpuri. Free Download Barson Tapish-e-gham Mein Ye Ehsas Jale Hai in PDF.