Milo To Aise Andheron Ko Bhi Pata Na Lage

milo to aise andheron ko bhi pata na lage

chalo to aise ke jismon mein fasla na lage

main aaj ganw mein chhoDe to ja raha hun tumhein

dua karo ki mujhe shahr ki hawa na lage

KHuda wo waqt na lae hamare bachchon par

ki jis ghaDi unhen maon ki bhi dua na lage

main us ka zikr kisi aur se nahin karta

kahin ye mera rawayya use bura na lage

ye tai kiya hai ki aisa fasana likkhunga

wo bewafa kisi jumle se bewafa na lage

biTha gaya tha koi aise peD ke niche

ki jis ka ek bhi patta mujhe hara na lage

ata kiye hain yun hi us ne rat-jage 'ishrat'

ye zindagi mujhe KHwabon ka silsila na lage

(583) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Milo To Aise Andheron Ko Bhi Pata Na Lage In English By Famous Poet Ishrat Kiratpuri. Milo To Aise Andheron Ko Bhi Pata Na Lage is written by Ishrat Kiratpuri. Read famous Poem Milo To Aise Andheron Ko Bhi Pata Na Lage for youth and Student by Ishrat Kiratpuri. Free Download Milo To Aise Andheron Ko Bhi Pata Na Lage in PDF.