Sahn-e-maqtal Mein Har Ek ZaKHm-e-tamanna Rakh Do

sahn-e-maqtal mein har ek zaKHm-e-tamanna rakh do

aur qatil ka naya nam masiha rakh do

ab to ruswai ki had mein hai meri tishna-labi

ab to honThon pe dahakta hua shoala rakh do

kitni tarik hai shab mere makan ki yaron

in munDeron pe koi chand sa chehra rakh do

ab ki barish mein mera nam chamak jaega

lakh tum ret ki tah mein mera katba rakh do

phir bhi haq baat ke kahne se na baz aaunga

mere hathon pe bhale daulat-e-duniya rakh do

nind si aane lagi zulf ke sae mein mujhe

phir mere KHwabon pe tapta hua sahra rakh do

mere afsane ko phir moD naya sa de do

aur unwan sulagta hua lamha rakh do

jo samajhte hi nahin meri zaban ko 'ishrat'

un ke afkar mein mera lab-o-lahja rakh do

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahn-e-maqtal Mein Har Ek ZaKHm-e-tamanna Rakh Do In English By Famous Poet Ishrat Kiratpuri. Sahn-e-maqtal Mein Har Ek ZaKHm-e-tamanna Rakh Do is written by Ishrat Kiratpuri. Read famous Poem Sahn-e-maqtal Mein Har Ek ZaKHm-e-tamanna Rakh Do for youth and Student by Ishrat Kiratpuri. Free Download Sahn-e-maqtal Mein Har Ek ZaKHm-e-tamanna Rakh Do in PDF.