Gum-shuda Sae DhunDhta Hun Main

gum-shuda sae DhunDhta hun main

lamha ban kar Thahar gaya hun main

zahiri shakl meri zinda hai

aur andar se mar gaya hun main

reza reza kiya hawadis ne

apne zarraat chun raha hun main

kaun dekhega mujh mein ab chehra

aaina tha bikhar gaya hun main

wo rifaqat hai ab na wo shafqat

kitni aankhon mein jhankta hun main

siskiyan chiKH aah naghma fughan

kitne pardon ki ek sada hun main

koi munsif saza na de lekin

qatilo tum ko jaanta hun main

(688) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544