Sham Kajlai Hui Raat Abhagan Jaisi

sham kajlai hui raat abhagan jaisi

rut nahin aati kisi ganw mein sawan jaisi

rang Tesu mein khile hain teri chunari ki tarah

ban mein phulon ki mahak hai tere aangan jaisi

us ki aawaz mein hai sat suron ka sangit

baat bhi wo kare to bajti hai jhanjhan jaisi

raat ki waishya lakh aankhon mein kajal pare

subh mang apni sajaegi suhagan jaisi

ek pal bichhDen to lagta hai yugon ka ban-bas

aur jab tak na milen rahti hai uljhan jaisi

tu alag ruThi hui hai wo alag ruTha hua

gori kis baat pe sajan se hai an-ban jaisi

aanch si lagti hai pahlu mein teri sanson ki

ghaw par ThanDi hawa hai tere daman jaisi

meri aankhon mein dil-awez saman hai 'ishrat'

phulon par os ki har bund hai darpan jaisi

(730) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham Kajlai Hui Raat Abhagan Jaisi In English By Famous Poet Ishrat Qadri. Sham Kajlai Hui Raat Abhagan Jaisi is written by Ishrat Qadri. Read famous Poem Sham Kajlai Hui Raat Abhagan Jaisi for youth and Student by Ishrat Qadri. Free Download Sham Kajlai Hui Raat Abhagan Jaisi in PDF.