Har Rag-e-Khaar Ki Tahwil Mein KHun Hai Mera

har rag-e-KHar ki tahwil mein KHun hai mera

be-karan dasht dabistan-e-junun hai mera

naqsh-e-mauhum hai sab wusat-e-raz-o-aflak

mere shahpar ke tale said-e-zabun hai mera

shaKHen talwar ki surat hain gul-o-barg hain sang

dil ka ye naKHl giraftar-e-fusun hai mera

zaKHm kya hai kisi shamshir-e-nigah ka ejaz

ashk kya hai samar-e-fasl-e-darun hai mera

hijr ka chand dahakta hua angara sahi

magar is se bhi kahin shola fuzun hai mera

sab mere dil pe karam us nigah-e-naz ka hai

be-qarari hai meri aur na sukun hai mera

gham ka zahrab rag o pai mein jo utra 'ishrat'

tab ye malum hua mujh ko wo kyun hai mera

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Rag-e-Khaar Ki Tahwil Mein KHun Hai Mera In English By Famous Poet Ishrat Zafar. Har Rag-e-Khaar Ki Tahwil Mein KHun Hai Mera is written by Ishrat Zafar. Read famous Poem Har Rag-e-Khaar Ki Tahwil Mein KHun Hai Mera for youth and Student by Ishrat Zafar. Free Download Har Rag-e-Khaar Ki Tahwil Mein KHun Hai Mera in PDF.