Tah Mein Har Paikar Ki Ek Paikar Ubharta Hai Tera

tah mein har paikar ki ek paikar ubharta hai tera

kaun izhaar-e-musalsal rok sakta hai tera

qatl ho jata hai jab suraj dilon ke dasht mein

gahri zulmat mein man shoala lapakta hai tera

naqsh ubharte hain teri KHushbu ke sath-e-KHak par

be-sada gumbad mein bhi tair chahakta hai tera

saghar-e-gul se hazaron rang uchhalte hain tere

ism-e-azam sabz lauhon par chamakta hai tera

taza-dam hai kitni sadiyon ka safar karne ke baad

qafila kab duri-e-manzil se thakta hai tera

lahlahata hai dil-e-ishrat mein roz o shab wo naKHl

jis ke barg o shaKH mein mausam mahakta hai tera

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tah Mein Har Paikar Ki Ek Paikar Ubharta Hai Tera In English By Famous Poet Ishrat Zafar. Tah Mein Har Paikar Ki Ek Paikar Ubharta Hai Tera is written by Ishrat Zafar. Read famous Poem Tah Mein Har Paikar Ki Ek Paikar Ubharta Hai Tera for youth and Student by Ishrat Zafar. Free Download Tah Mein Har Paikar Ki Ek Paikar Ubharta Hai Tera in PDF.