Sahil Pe Samundar Ke Kuchh Der Thahar Jaun

sahil pe samundar ke kuchh der Thahar jaun

mumkin hai ki maujon ke mathe pe ubhar jaun

tapte hue lamhon ko sairab to kar jaun

ek mauj-e-sada ban kar sahra mein bikhar jaun

har sang hai ek shisha har shisha hai ek patthar

ai shahr-e-tilism aaKHir Thahrun ki guzar jaun

lao na ujalon ko is shahr ki sarhad tak

aisa na ho main apne sae se hi Dar jaun

har samt fazaon mein pathraw ka aalam hai

shishe ka badan le kar jaun to kidhar jaun

har sham mere dil mein deta hai sada koi

main Dubte suraj ke hamrah na mar jaun

roke na agar mujh ko is dasht ki tanhai

'ishrat' main hawaon ke paikar mein utar jaun

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahil Pe Samundar Ke Kuchh Der Thahar Jaun In English By Famous Poet Ishrat Zafar. Sahil Pe Samundar Ke Kuchh Der Thahar Jaun is written by Ishrat Zafar. Read famous Poem Sahil Pe Samundar Ke Kuchh Der Thahar Jaun for youth and Student by Ishrat Zafar. Free Download Sahil Pe Samundar Ke Kuchh Der Thahar Jaun in PDF.