Na Sail-e-rang Na Sayyara Mahtab Mera

na sail-e-rang na sayyara mahtab mera

hai mere sine mein angara mahtab mera

chhaTi ufuq ki siyah-gard to dikhai diya

payam-e-wasl ka harkara mahtab mera

KHala mein muztarib-o-be-qayam meri tarah

ye mere dasht ka banjara mahtab mera

KHunuk hawaon ka maskan bisat-e-KHak meri

lahu ki aanch ka gahwara mahtab mera

chihaar samt mare aab-zar aur is mein

ghurub hota hua tara mahtab mera

KHud apne nur se karta hai iktisab-e-jamal

wo ek shola-e-awara mahtab mera

tamam raat muKHatib raha mare dil se

wahi sukut ka fawwara mahtab mera

zamin pe dhum mere zaKHm-e-na-shagufta ki

falak pe hasil-e-nazzara mahtab mera

main justuju mein usi kuza-gar ki hun 'ishrat'

hai jis ke chaak ka fan-para mahtab mera

(862) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Sail-e-rang Na Sayyara Mahtab Mera In English By Famous Poet Ishrat Zafar. Na Sail-e-rang Na Sayyara Mahtab Mera is written by Ishrat Zafar. Read famous Poem Na Sail-e-rang Na Sayyara Mahtab Mera for youth and Student by Ishrat Zafar. Free Download Na Sail-e-rang Na Sayyara Mahtab Mera in PDF.