Mujhe Kuchh Aur Bhi Tapta Sulagta ChhoD Jata Hai

mujhe kuchh aur bhi tapta sulagta chhoD jata hai

sahab aksar mere sine pe dariya chhoD jata hai

wahi ek raegan lamha ki main jis ka shanawar hun

nigahon mein meri shahr-e-tamasha chhoD jata hai

guzarta hai jis aaine se bhi mausam shararon ka

chaman ko sath le jata hai sahra chhoD jata hai

nawah-e-dasht mein KHush-manzari taqsim karta hai

wo baadal jo meri basti ko pyasa chhoD jata hai

mere kamre ki diwaron mein aise aaine bhi hain

ki jin ke pas har shaKHs apna chehra chhoD jata hai

wo mere raaz mujh mein chahta hai munkashif karna

mujhe mere ghane sae mein tanha chhoD jata hai

ajab shoala hai 'ishrat' us ka lams-e-be-nihayat bhi

mere chaaron taraf jo ek ujala chhoD jata hai

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Kuchh Aur Bhi Tapta Sulagta ChhoD Jata Hai In English By Famous Poet Ishrat Zafar. Mujhe Kuchh Aur Bhi Tapta Sulagta ChhoD Jata Hai is written by Ishrat Zafar. Read famous Poem Mujhe Kuchh Aur Bhi Tapta Sulagta ChhoD Jata Hai for youth and Student by Ishrat Zafar. Free Download Mujhe Kuchh Aur Bhi Tapta Sulagta ChhoD Jata Hai in PDF.