Zamin Ghubar Samundar Sahab Apni Jagah
zamin ghubar samundar sahab apni jagah
magar main aur mera iztirab apni jagah
hawa ki zad mein hai har chiz KHar-o-KHas ki tarah
kaho paDe rahen chup-chap KHwab apni jagah
agarche bikhri hai rakh us ki mere chaaron taraf
wo lamha ab bhi hai apna jawab apni jagah
mere aqab mein hai aawaza-e-numu ki gunj
hai dasht-e-jaan ka safar kaamyab apni jagah
zaban ko deta hai ehsas-e-tishnagi se najat
wo zaiqa hai sukut-e-sarab apni jagah
na jaane hoga kahan KHema-e-badan 'ishrat'
ki chhoDne ko hai har ek tanab apni jagah
(810) Peoples Rate This