Ajab Hi Dhang Se Ab Anjuman-arai Hoti Hai

ajab hi Dhang se ab anjuman-arai hoti hai

jahan par bhi rahen hum sath mein tanhai hoti hai

fatuhat-e-dil-o-jaan par yun mat itra mere lashkar

ki is maidan mein fil-faur hi paspai hoti hai

ye mela waqt ka hai hath us ke hath mein rakhna

bichhaD jaen yahan to phir kahan yakjai hoti hai

hum aise kuchh bhi kar len un ki tah ko pa nahin sakte

amir-e-shahr ki baaton mein wo gahrai hoti hai

salasat se bayan ahwal-e-dil karna hai ek KHubi

basa-auqat chup rahna bhi to danai hoti hai

zaban-e-KHalq goyai ke gauhar to luTati hai

labon par jo nahin aati wahi sachchai hoti hai

(700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Hi Dhang Se Ab Anjuman-arai Hoti Hai In English By Famous Poet Islam Uzma. Ajab Hi Dhang Se Ab Anjuman-arai Hoti Hai is written by Islam Uzma. Read famous Poem Ajab Hi Dhang Se Ab Anjuman-arai Hoti Hai for youth and Student by Islam Uzma. Free Download Ajab Hi Dhang Se Ab Anjuman-arai Hoti Hai in PDF.