Bagule Rahnuma Hain Baad-e-sahrai Safar Mein Hai

bagule rahnuma hain baad-e-sahrai safar mein hai

ruken kaise hamare sath ruswai safar mein hai

KHabar bhi to nahin hai ab kidhar ko ja rahe hain hum

sarabon ka safar hai aabla-pai safar mein hai

ye basti hai ki zindan kuchh bhi to palle nahin paDta

the kab pachhua ke din aur kab se purwai safar mein hai

kahan se aain kanon ke liye rim-jhim si aawazen

jaras ek lafz-e-parina hai shahnai safar mein hai

azal se ta-abad hai kar-farma gardish-e-dauran

ki nadani hazar mein aur danai safar mein hai

use sadiyan lagengi nind se bedar hone mein

abhi aaghaz ka mausam hai angDai safar mein hai

koi aahaT banati hi nahin ummid ka mausam

kuchh aisi chup lagi hai jaise goyai safar mein hai

akele-pan ka 'azmi' ho bhi to ehsas kaise ho

tasalsul se hamari sham-e-tanhai safar mein hai

(715) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bagule Rahnuma Hain Baad-e-sahrai Safar Mein Hai In English By Famous Poet Islam Uzma. Bagule Rahnuma Hain Baad-e-sahrai Safar Mein Hai is written by Islam Uzma. Read famous Poem Bagule Rahnuma Hain Baad-e-sahrai Safar Mein Hai for youth and Student by Islam Uzma. Free Download Bagule Rahnuma Hain Baad-e-sahrai Safar Mein Hai in PDF.