Ba-zahir Rang KHushbu Raushni Yak-jaan Hote Hain

ba-zahir rang KHushbu raushni yak-jaan hote hain

magar ye shahr andar se bahut viran hote hain

koi mane na mane guftugu karti hai KHamoshi

pas-e-diwar-e-hasrat bhi kai tufan hote hain

ulajh jaen to suljhane ko ye umren bhi na-kafi

taaruf ke agarche silsile aasan hote hain

sarabon ki KHabar rakhna gharon ko chhoDne walo

kai ek be-dar-o-diwar bhi zindan hote hain

yahan sari ki sari raunaqen reg-e-rawan se hain

bagule hi to registan ki pahchan hote hain

palaT aane ka rasta aur hi koi banata hai

musafir sab ke sab anjam se anjaan hote hain

to phir aankhon mein sapne ek se kyunkar nahin ugte

lakiron ke agar donon taraf insan hote hain

safar to chalte rahne ki lagan se shart hai 'azmi'

jinhen chalna bahut ho be-sar-o-saman hote hain

(713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-zahir Rang KHushbu Raushni Yak-jaan Hote Hain In English By Famous Poet Islam Uzma. Ba-zahir Rang KHushbu Raushni Yak-jaan Hote Hain is written by Islam Uzma. Read famous Poem Ba-zahir Rang KHushbu Raushni Yak-jaan Hote Hain for youth and Student by Islam Uzma. Free Download Ba-zahir Rang KHushbu Raushni Yak-jaan Hote Hain in PDF.