Pas-e-diwar Zindan Zindagi Maujud Rahti Hai

pas-e-diwar zindan zindagi maujud rahti hai

andheri raat mein bhi raushni maujud rahti hai

sar-e-darbar-o-maqtal ek sa mausam ana ka hai

garan sar mein hamesha sar-kashi maujud rahti hai

rawan rakhte hain hum ko dasht-e-dariya dhup darwaze

sarabon se safar mein tishnagi maujud rahti hai

nazar se joD rakhta hai ye dil aise bhi nazzare

ki baad-az-marg bhi hairangi maujud rahti hai

bahut aasan rahen bhi bahut aasan nahin hotin

sabhi raston mein thoDi gumrahi maujud rahti hai

meri sochon mein yun rach bas gae hain shabnami mausam

tawatur se tah-e-mizhgan nami maujud rahti hai

talatum mein sada rahti hain kirnen husn-e-taban ki

nasib-e-dushmanan kuchh barhami maujud rahti hai

nikal pata nahin main kucha-e-be-nam se 'azmi'

ki asbab-e-safar mein kuchh kami maujud rahti hai

(887) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pas-e-diwar Zindan Zindagi Maujud Rahti Hai In English By Famous Poet Islam Uzma. Pas-e-diwar Zindan Zindagi Maujud Rahti Hai is written by Islam Uzma. Read famous Poem Pas-e-diwar Zindan Zindagi Maujud Rahti Hai for youth and Student by Islam Uzma. Free Download Pas-e-diwar Zindan Zindagi Maujud Rahti Hai in PDF.