Sang Aata Hai Koi Jab Mere Sar Ki Jaanib

sang aata hai koi jab mere sar ki jaanib

dekh leta hun samar-bar shajar ki jaanib

is masafat ka koi ant nahin hai lekin

din nikalte hi main chal paDta hun ghar ki jaanib

kis ne aawaz mujhe sahil-e-jaan se di hai

naw kyun dil ki lapakti hai bhanwar ki jaanib

qissa-e-shauq ko us tishna-labi ka likhna

kar ke ek aur safar shahr-e-hunar ki jaanib

phir se angaron ka mausam mere andar utra

phir baDha hath mera lal-o-gohar ki jaanib

ye jo hai surat-e-haalat badal sakti hai

kash kar panw safar KHair se shar ki jaanib

ain mumkin hai ki pathraata na koi 'azmi'

tu ne dekha hi nahin muD ke nagar ki jaanib

(679) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sang Aata Hai Koi Jab Mere Sar Ki Jaanib In English By Famous Poet Islam Uzma. Sang Aata Hai Koi Jab Mere Sar Ki Jaanib is written by Islam Uzma. Read famous Poem Sang Aata Hai Koi Jab Mere Sar Ki Jaanib for youth and Student by Islam Uzma. Free Download Sang Aata Hai Koi Jab Mere Sar Ki Jaanib in PDF.