Hamid Kahan Ki DauD Ke Jaun KHabar Ko Main

hamid kahan ki dauD ke jaun KHabar ko main

kis aarzu pe qata karun is safar ko main

mana buri KHabar hai pa teri KHabar to hai

sabr-o-qarar nazr karun nama-bar ko main

ye sang-o-KHisht aah dilate hain teri yaad

rota hun dekh dekh ke diwar-o-dar ko main

hai teri shakl ya teri aawaz ka KHayal

karta hun iltifat yakayak jidhar ko main

afsos hae hae ki aati nahin sada

puchhe to kya bataun tere chaara-gar ko main

kya ho gaya ise ki tujhe dekhti nahin

ji chahta hai aag laga dun nazar ko main

achchha jo tu ne gosha-e-marqad kiya pasand

ab apne haq mein gor banaunga ghar ko main

tere sar-e-aziz ki baalish ho KHak se

baalin-e-gham se ab na uThaunga sar ko main

dekhi na thi bahaar abhi tere shabab ki

bhula na tha abhi tere ahd-e-sighar ko main

taqdir hi ne hae na ki kuchh musaidat

kya roun ab dua-o-dawa ke asar ko main

hukm-e-KHuda yahi tha ki baiTha kiya karun

matam mein tere ashk-fishan chashm-e-tar ko main

juz dard-o-dagh tu ne na chhoDa nishan haif

rakhunga mehman inhen umr bhar ko main

kar ne do aah-o-nala ki aaKHir rahunga baiTh

taslim kar ke hukm-e-qaza-o-qadar ko main

kya fikr-e-ab-o-nan ki gham kah raha hai ab

maujud hun ziyafat-e-dil aur jigar ko main

tujh ko jawar-e-rahmat-e-haq mein jagah mile

manga karunga ab ye dua har sehr ko mein

habs-e-dawam to nahin duniya ki mar rahun

kahe ko ghar KHayal karun rahguzar ko main

KHud hum se bhi zyaada ho jo hum pe mehrban

wo jam-e-zahr de to na chakhun shakar ko main

wo jaane aur us ki raza jo pasand ho

sab kaam saunpta hun usi dad-gar ko main

hota na dil mein dard to karta na hae hae

deta na tul yun suKHan-e-muKHtasar ko main

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamid Kahan Ki DauD Ke Jaun KHabar Ko Main In English By Famous Poet Ismail Merathi. Hamid Kahan Ki DauD Ke Jaun KHabar Ko Main is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Hamid Kahan Ki DauD Ke Jaun KHabar Ko Main for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Hamid Kahan Ki DauD Ke Jaun KHabar Ko Main in PDF.